• Tidak ada hasil yang ditemukan

MARSIYAE

N/A
N/A
Protected

Academic year: 2021

Membagikan "MARSIYAE"

Copied!
43
0
0

Teks penuh

(1)

Iltamas-E-Dua Asker Raza Kazmi

(2)

1) Ghar Say jay Bahre Safar Syede Alam nikle 2) Ahle Haram Pe Aaj Qiyamath Ki Rath Hai 3) Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai 4) Aye Soogwaro Aho Buka Ka Mukham Hai 5) Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai 6) Dashthe Bala Me Goom Ali Akbar Ki Laash Hai 7) Daulath Koyi Duniya Me Pisar Se Nahi Bethar 8) Ibne Ali Jo Baghe Risalath Luta Chuka

9) Jab Gul Howa Chirage Haram Qaide Shaam Me 10) Jab Khathema Baqair Howa Fouje Shah Ka 11) Jab Sadre Zee Se Girpade Abbase Bawafa 12) Jis Dum Nageene Khatime Paighambara Gira 13) Pidar Ki Mauth Hai Marna Jawan Bete Ka 14) Run Se Jab Khake Sina Akbare Zeeshan Aye 15) Zakhmi Jo Runme Fatima Ka Gulbadan Howa 16) Qaid Me Dukhthare Sultane Zaman Akhir Hai 17) Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai 18) Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai

(3)

MARSIYA

Ghar Say Jab Bahre Safar Syeda Alam Nikle 1) Ghar Se Jab Bahre Safer Syede Alam Nikle

Sar Jhukae Huve Badeedae Pur num Nikle Quesho Farzand kamar baand kay baham Nikle

Rokay Farmaya kay is Shaher se ab hum Nikle- Jawab Raat Se Giryae Zehra ki sada aati hai

Dekhein Qismat Hamein kis dasht main lejati hai - Jawab

2) Ruq Kiya Shah ne sue qabre Shahinshae anam Bahr Tasleem jhuike Muttasile babe salam Izn padkar jo gaye qabr ke nazdik Imam

Arz ki aaya hai aaj aakhri Ruksat kou Ghulam- Jawab Yea Makaan hum se ab ai shahe zaman choot tha hia Aaj Hazrat kay Nawase say watan choot tha hai – Jawab 3) Chaain Se Sub hai gharon main mujhe milta nahi chain

Saqt aafat main hai ab apkaa ye noorul aain Tukde dil hota hai jab rokay haram karte hai bain

Nanhay Bachcho kou bhala lekay kidhar jayea Hussain – Jawad Shahr mein Chain na Jungle main amaan milti hai

Dekhiyea Qabr musafir kou kahan milti hai – Jawad 4) Ab mere sar ke liye teiz hue hain khanjar

Ahle keen Shar pe kamar Bandhe Hain ya qaire bashar Aapne di thi isi roze ki Amma ko Qabar

Waleda roye thee do roz talak peet ke sar – Jawad Is Nawase ko magar bhool n jana Hazrat

Zibha ke waqt madad karne ko aana Hazrat – Jawad

5) Yea who din hai kay parinde bhi nahien chordte Ghar Mujh ko dar pesh hain in rozon main aafat ka safar Hai kaheen Qatl ka Samaan kabhi lut jaane ka dar Saat hai bachon ka ay Badeshahhe Jinoo Bashar– Jawad Tang jeene se hoon paas apnay bulalo Naana

Apani Turbat main Nawase kou Chipalo Nana – Jawad

6) Yea Bayan Karkay Jo Taveez Say Liptay Sarwar Youn Hilli Qabr ke tharrai Zaree e anwar Aayi turbat se ye awaazey habib –e dawar

Teri Gurbat kay main Sadqe Meray Mazloom pisar– Jawad Koyi samja na meri Gooud kaa Paala tujko

(4)

7) Aai Mere Gaysuon o wale mere Sabir Shabbir Mere bekas mere Mazloom Musafir Shabbir Na Raha koye tera yawar o nasir Shabbir

Hai Ai gor –e-gareeba kay mujver shabbir – Jawad Tu jaahain Jayeaga Pyare wahin chalta Hoon main

Khaak Udataa huva Turbat say Nikalta Hoon Main – Jawad 8) Kayee din Say Teri Maadar kou Nahi qabr main Chain

Aaye thi Shab kou mera paas yea Karti huvi Bain Ghar mera Lut taa hai Faryaad Rasool us Saqlain

Subha kou apan watan Chord ke Jaata hai Hussain– Jawad Kahne aayi hoon ke muh Qabr se modungi main

Apnay Bache ko akela thou na Chodongi main – Jawad

9) Sunkey Yea Shah Nay Kiya aakhri Ruksat ka Salam Nikle rote huve jab roza –e Anwar say Imam

Sheh Se usdam Yeh Kiya ro ro ke Zainab nay Kalam Qabr Par Maa ki Mujay Laychalo Ya Shahey anam – Jawad Log Hamrah hai mahmihein kyou kar Roowo

Maa ki turbat say phir ek baat lipat kar roowoh. – Jawad 10) Maa ki turbat pe gayea Shah ba chashme qoon baar

Utri Mahmil se basad ah o fugahaan Zainabe Zaar Dourd Kar Qabr Se Lipte Jo Imame Abraar

Haat Zehra ke Lahad Se Nikal aayea Ek baar – Jawad Aayi Aawaz Na Ro Dil ko Qalaq Hota hai

Qabr Hilti hai Kaleja mera Shaq Hota Hai – Jawad 11) Haan Bulawo Mera Abbas e-Dilawar hai Kidhar

Wo fida Hai mere Bache pe main sadqe Uspar Shikam e-ghair se hai par who wera hai pisar Yea Sad sun ke biradar ko pukare Sarwar – Jawad Abhi Rahwar ko aage na badhao Bhai

Yaad Farmati hai Amma idhar aawo bhai – Jawad 12) Aake Abbas nay Sar Rakhdia Paeene Mazaar

Aayi Zehra Ki Sada Mein Teri Gurbat Ke Nisar Apne Pyaron Ke Barabar Mein Tujhe Karti Hou Pyar Dhayaan Bhai ki Hifaazat ka rahe aai Dildaar – Jawad Kohi Gurbat main Usay Maar na daale Baita

(5)

MARSIYA

Ahle Haram Pe Aaj Qiyamath Ki Rath Hai

1) Ahle haram pa aaj qiyamath ki rath hai Jungle darawna hai ye wehshath ki rath hai Hai hai yatheem rothe hain ghurbath ki rath hai Sar par nahi Hussain ye furkhath ki rath hai - jawab Khaime jale pade hain shahe mashrekhain ke

Miti pe aaj sothe hai bache Hussain ke - jawab 2) Wo rath andheri aur wo maidane karbala

Lashe pade hain raith pe jinke hai sar juda Ghurbath ye kehrahi hai ke in par howi jafa Chadar odhaye kaun haram sab hain berida - jawab Sar deke rahe hakh me yohi naam karthe hain

Din bhar ke hain thake howe araam karthe hain - jawab 3) Shame ghariban karthi hai Zainab ajub fughan

Nalo se hilrahe hain zamee aur aasmaa Hai hai Hussain kehke jo rothi hai neem jaa

Run me wahan tadapthi hai laashe shahe zama - jawab Awaaz arahi hai bahen mai tere nisaar

Ay ghum gusaar mere yatheemo se hoshiyaar - jawab 4) Banu ke bain hai Ali Asghar gaye kidhar

Jungle me sath chodage iski nathi khabar Beta bathao hoyegi kyonkar mari basar

Ab tunko dhoondthi howi niklongi nage sar - jawab Asghar me apne paas jo tumko na paongi

Sar peethi howi abhi maidan me aongi - jawab 5) Beemar ek ghash me pada hai dawa nahi

Kaisi dawa ghareeb ko pani mila nahi Shidath ka hai bukhar pa of thak kiya nahi Sabir shukar kartha hai lab par gila nahi - jawab Karwat badaina oske liye hogaya hai baar

Pehna diya hai zalimeon ne tauke khar daar - jawab 6) Zainab ka sabar dekh ke hotha hai dil figar

Bacheon ko bibieon ko jama karke soogwaar Taskee dilasa dethi hai bhai ki gham gusaar Lekin Sakina poochthi hai roke baar baar - jawab Baba kab ayenge phophi baba kab ayenge

Seene pe apne wo mujhe phir kab sulayenge - jawab 7) Aap hi bathaiye phophi amma duhayi hai

(6)

Hai rath andheri aur ye basthi parayi

Jungle mai maa se door mera chota bhai hai - jawab Baba bularahe hain mujhe chodo jathi heon

Asghar ko apni goad me maidan se lathi heon - jawab 8) Zainab ne pyaar karke yatheema Hussain ko

Godi me apni leliya os noreain ko

Boli zara tho keejiyo kam shoroshain ko

Kal subha dekhlogi shahe mashrekain ko - jawab Behlayi yon phoophi ke wo khamosh hogayi

Ghurbath se maa ke zanu pe sar rakhke sogayi - jawab 9) Guzri hai adhi rath falak bhi hai nohagar

Girthe hai tare tootke maninde ashk tar Aur chupke chupke rothi hai ek bibi nange sar

Hai chobe khaima hath mai bandhi howi kamar - jawab Kati hai rath ankheon pe Zehra ki gulezaar

Masroof hai talaye mai bhai ki soogwar - jawab 10) Awaaz ayi ghodeke tapeon ki nagahan

Dekha sawar atha hai is simath be takan Badkar pukari kaun hai kya kaam hai yahan

Waris hamare khathal howe lutgaye make - jawab Allah hai gawah nahi paas malo zar

Chadar hamari chingayi aur ham hai nange sar - jawab 11) Lekin badhaye ghode ko atha tha wo sawar

Zainab ke paas rokliya ake rahwaar Olti nakhab chere se othra wo shesawar

Beti ke samne the khade shaire kirdagar - jawab Hai khak sarpe thame kaleje ko aye hain

Pursa bahen ko bhai ka dene ko aye hain - jawab 12) Pehla ke hath baap se Zainab lipat gayi

Ro ro ke kehthi thi meri kismath olat gayi Bakhi jo panjethan ki nishani thi mit gayi

Baba mai apne bhai se jungle me chut gayi - jawab Amma ka ghar bhara howa barbad hogaya

Sehra jo karbala ka tha abad hogaya - jawab 13) Rokar kaha Ali ne ho qurbaan ye pidar

Sorahio thodi dairke hothi hai ab saher Darpaish subha ko hai tumhe shaam ka safar Darbar me yazeed ke jana hai nange sar - jawab Mushkil kusha heon zulm ye dekhe na jayenge Beti rasan se hath tere bandhe jayenge - jawab

(7)

14) Ayi sadaye Fatima fariyaad ya Ali Khethi hamari hogayi barbaad ya Ali Mushkil kushaye kalkh ho do daad ya Ali Bacheon pe mere hogayi bedaad ya Ali - jawab Abaad karbala howi ghar mera lut gaya

Zainab hai berida sare Shabeer kat gaya - jawab

MARSIYA

Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai

1) Ay momeeno kya sakhth yateemee ki bala hai Is zakhm ka marham hai na is ghamki dawa hai Pocho tho yatheemon se ke ye wakhiya kya hai Kis omr me ye dhaag Sakina ko mila hai - jawab Jab khatimaye shahe sarafraaz howa tha

Likha haike chautha baras aaghaaz howa tha - jawab 2) Issin me koyi baap juda hona pisar se

Furqath howi tifli me Sakina ko pidar se Pooche koyi ye dard yateemeon ke jigar se

Bachpan me pidar otha ho jin bacheon ke sar se - jawab Aaghaz is andhoka anjaame khaza hai

Ye daaghe yateemee nahi paighame ghaza hai - jawab 3) Zindan me mukhiyaad jo howe sab harame shah

Anboho khalaekh howa darwaze pe nagah Balwa howa is darja ke masdood howi rah

Sar sharm se zanjeer pe Abid ne rakha ah - jawab Tha wo arakhe sharm aseereon ke badan me

Rotha tha har ek azoo ghame shahe zaman me - jawab 4) Mashghool jo the khail me athfaal wo saare

Kahthi thi Sakina wahan hasrath se nazare Kehthi thi ke kya hogaye hamjoli hamare Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhare - jawab Sab bachche yahan khailthe hain khanda zana hai Me khailthi thi jinse wo athfaal kahan hai - jawab 5) Bhar bhar ke dame sard ye ki bano se gufthaar

(8)

Kya naame pidar pyaar se letha hai har ek baar

Ek ham hai ke hai baap ki furkhat me girafthar - jawab Dil me jo mere dard hai khaliq pe ayan hai

Mai kisko kaheon baap mera baap kahan hai - jawab

6) Baba mere hothe tho onhe kehthi mai baba Ab baap kahan jisko kaheon baap me dukhiya Yon koyi pidar se beti se ghafil nahi hotha

Hairaan heon baba ke wo ashfaaq howe kya - jawab Aada ne hame qaid kiya shaam me lakar

Baba mere kyon mujhko nahi dhoondthe akar - jawab 7) Ye kehke Sakina pe jo rikhath howi taari

Bas haaye pidar kehke kayi baar pukari Tadpi jo zamee par tho zamee hil gayi saari

Jhinjhlake kaha shumr ne phir karthi hai zaari - jawab Ab khoob rulaeonga tujhe mai na dareonga

Reh tujhko aseereon se juda qaid karonga - jawab 8) Phir shumr ne bazooye Sakina ko jo pakda

Kunbe ki taraf osne ajab yaas se dekha Sab khaidiyon me ek khiyamath howi barpa

Sajjad ke khadmeon pe machal kar giri dukhiya - jawab Yon lipti thi bhayi se wo is khaofo khathar me

Ek haath tho gardan me tha ek hath kamar me - jawab 9) Meon dekhke Sajjad ka kehthi thi wo darkar

Ab aap mere roneke zamin heon barather Gartumse choti zeesth meri hoegi kyonkar

Ab roeon tho jo chahe kare shumre sithamgar - jawab Bhaiya mujhe tho shumrse is waqt bachale

Ab royon tho kardeejio zalim ke hawale - jawab 10) Ab royi so mai royi na ab roeongi zinhar

Ab roeon agar baap ko apne tho gunahgaar Farmao ke ab chod de mujhko ye jafakaar

Baazoo mera dukhne laga ay Abide beemar - jawab Kistarah juda kunbe se howegi Sakina

Tum kehdo khasam khake na royegi Sakina - jawab 11) Ye kehthi thi kheencha jo sithamgar ne khazara

Kurtha tho phata tha wo phata aur bhi sara Tab Abide beemar ne rokar ye pukara

Ay shumr ye bin baap ki bachchi hai khudara - jawab Ghafil teri dehshath se na howegi Sakina

(9)

MARSIYA

Aye Soogwaro Aho Buka Ka Mukham Hai

1) Ay soogwaro aho buka ka mukham hai Ab rukhsathe Hussain alehis salam hai Mehman tumhara jatha hai jo tashna kam hai

Sar peeto qakh orao ke matham tamam hai - twice (jawab) Ab wo sadaye haye Hussaina na ayegi

Ghar mai tumhare Fatima Zehra na ayegi - twice (jawab) 2) Ay shahe karbala teri qidmath na hosaki

Ay kushthaye jafa teri qidmath na hosaki Ay jane Fatime teri qidmath na hosaki

Mehmane nainawa teri qidmath na hosaki - twice (jawab) Ji bhar ke rosake na ye gardish naseeb ki

Majlis ye akhri hai Hussaine qareeb ki - twice (jawab) 3) Agle baras Hussain moharrum me ayenge

Baqi rahi hayath tho ye gam manayenge Aur Fatime ke lalpe ansoo bahayenge

Gar margaye tho qabar me ham qakh odayenge - twice (jawab) Tayaar qafela hai shehay mashrekain ka

Lo karbala ko jatha hai kunba Hussain ka - twice (jawab) 4) Bechain Fatima hai na ansoo bahao tum

Mai jaraha heon roke na mujhko rolao tum Zehmath no ho tho meri ziyarath ko aao tum

Turbath pe ake ashko ki chadar chadao tum - twice (jawab) Mehman jo karbala me mere paas ayenge

Onsabki peshwayi ko Abbas ayenge - twice (jawab) 5) Lo alwida hotha hai rukhsath ye tashna kaam

Tum rorahe ho mahe mohurram se subho shaam Kosar pe apne hath se doonga main bharke jaam

Rukhsath Hussain hotha hai tumpar mera salam - twice (jawab) Dono jahan me kush raho aur shaad tum raho

Ama dovayen dethi hai abad tum raho - twice (jawab) 6) Tum qushnaseeb ho tumhe ye martaba mila

Zehra bhi tumme baitke rothi hai ek ja Kehthi hai mere bache pe karthe haiye boka

Mujhse na hoga inka kabhi shukriya ada - twice (jawab) Ehsaan na taba hashre bholayegi Fatima

(10)

7) Haan ashakho Hussain ke aho buka karo Zehra ka sath do madade mustafa karo Haqkhe mohabathe shehay bekas ada karo

Ab kooch hai Hussain ka mehshar bapa karo - twice (jawab) Lo ab vida keejiyo ale rasool ko

Do akhri Hussain ka pursa Batool ko - twice (jawab) 8) Ay tashnakaam bekaso nakaam alwida

Ay mubtelaye hasratho alaam alwida Ay bekafan Ali ke gulandaam alwida

Mazboha taig shumre badanjaam alwida - twice (jawab) Mazlumiyath pe apki jan apni khoyenge

Jabtak hai zinda apke matham me royenge - twice (jawab) 9) Ay shahe karbalaye moallah salam lo

Ham bekason ke waliyo moula salam lo Akha salam lo shehay wala salam lo

Ay Fatima ke chaand hamara salam lo - twice (jawab) Rukhsath ye akhri hai dilafgar ayen hain

Maula salam lo ye azadaar aye hain - twice (jawab)

Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai

1) Azeezo Zainabe muzthar ka aaj matham hai Azeezo Zeenathe Hyder ka aaj matham hai Ali ki ladli dukhthar ka aaj matham hai

Ghareeb shah ki khahar ka aaj matham hai - jawab Sukoone khalab khuda ke habeeb ko deeje

Bahen ka pursa Hussaine ghareeb ko deeje - jawab 2) Dubare khaid howe jabke Syede Sajad

Aseer karke sowe shaam lechale jalad Tadap ke sath howi haye Zainabe nashaad

Nabi ke rauzaye akhdas pe jake ki fariyaad - jawab Shaheed hogaya bhai Hussain ay nana

Magar nahi hai layeeno ko chain ay nana - jawab 3) Phir aaj Abide bepar ke sath jathi heon

Yazeede nahes ko khaufe khuda dilathi heon Khuda ne chaha tho is laal ko chudathi heon Hayath bakhi agar hai tho wapas athi heon - jawab Jo aye rahme mauth aap ayiye nana

Hamari laash pe anseon bahaiye heon - jawab 4) Ye sunke othi gayi Fatima ke rauze par

Lipat ke khaber se kehne lagi ye khastha jigar Otho otho meri amma ke ayi hai dukhthar Aseer hogaya phir mera Abide muzthar - jawab Tamam gharko ojada magar na chain aya

(11)

5) Phira chuka tha sithamgaar darbadar amma Dikhaya naize pe bhai ka mujhko sar amma Madeena bheja tha ghar bar lootkar amma Phir aaj hotha hai weeran sara ghar amma - jawab Chala hai khaid me phir zainulabedeen hai hai Rahegi chain se kya Zainabe hazee hai hai - jawab 6) Rawane hogayi phir sooye shaam wawaila

Khamoosh rothe the chauthe imam wawaila Azeez karthe the milkar tamam wawaila Layee rawana howe taizgaam wawaila - jawab Likha hai rahme ek manzile ghareeb ayi

Bathul zadiki hai hai khaza khareeb ayi - jawab 7) Nazar khuzadi ki nagah os shajar pe padi

Ke jis me rakha tha farkhe Hussain ibne Ali Tadap ke haye Hussaina kaha zamee pe giri

Othi sambhal ke tho fariyaad os shajar se ye ki - jawab Kahan hai bhai mera ay shajar batha jaldi

Hussain ke liye rothi heon khak oda thu bhi - jawab 8) Kalega agaya meon ko tadap raha tha jigar

Ziyarath shahe karbobala padhi rokar Namaz padhne lagi jab ghareeb zaire shajar Abhi othaya tha na haye haye sajde se sar - jawab Sitham ka bailcha ibne thameem ne mara

Lahoo mussale pe bekas ka beh gaya sara - jawab 9) Kamar khameeda kiye Zainul-Abedeen aye

Sambhal kar dile sad pash ko kharee aye Ajeeb haal se lashe pe shahe dee aye

Kabhi tho charkh ko gah dekhthe zamee aye - jawab Ek ah ki sare Zainab ko leke zanu par

Thadap gaye jo kaha kuch phoopi ne rorokar - jawab 10) Adhu ka dais hai aur haye jan balab Zainab

Zaba se bath bhi karthi nahi hai an Zainab Chali jahan se othaye kayi tauab Zainab

Sare shigaftha hi like sooye rab Zainab - jawab Phir ayi puthliya behoosh hogayi bibi

Odao khak ke khamossh hogayi bibi - jawab 11) Aseer syede Sajjad nafz dekhthe hain

Gareeb bekaso nashaad nafz dekthe hain Hai waqthe nalao fariyaad nafz dekhthe hain Nahi koyi paye imdaad nafz dekthe hain - jawab Hatake hath zamee par lita ke rone lage

(12)

12) Hussain walo bathao kidhar gayi Zainab Otha ke zulmo sitham kooch kargayi Zainab Musaferath me jahan se guzar gayi Zainab

Hazaar haif ke ghurbath me margayi Zainab - jawab Bas ek Abide muzthar hain khak adane ko

Hussain agaye markhad se laash othane ko - jawab

Dashthe Bala Me Goom Ali Akbar Ki Laash Hai

1) Dasthe bala me goom Ali Akbar ki laash hai Farzande Fatima ko pisar ki talash hai Daghe jigar ko nakhoone gham ki khirash hai Sange alam se shishaye dil pash pash hai - jawab Bano ko ghash hai ahle haram dard kidhar gaye Hai hai pisar ki ghar me sadayen buland hain - jawab 2) Chillathe hain ke baap ke pyare kidhar gaye

Ay noore chashm ankheon ke tare kidhar gaye Ay meri zindagi ke sahare kidhar gaye

Phoncha ke ham ko gore kinare kidhar gaye - jawab Andhair hai agar na rumhe payega pidar

Awaaz doge tumtho chala ayega pidar - jawab 3) Kisja pe tum pade ho bathao pidar nisar

Awaz hamko apni sunao pidar nisar Ham girpade hain ake othao pidar nisar

Chathi se phir pidar ko lagao pidar nisar - jawab Rukhsath hai apne ghar ko zara dekh bhal lo

(13)

4) Ay arze karbala mera dilbar kidhar gaya Ay dasthe nainawa maye anwar kidhar gaya Maqthal se ham shabiye payembar kidhar gaya Ay nehre alkhama Ali Akbar kidhar gaya - jawab Nikla heon main shaheed pisar ki talash ko

Bathla mujhe mere dure yaktha ki laash ko - jawab 5) Ay fauje zulm bano ke dilbar ko kya kiya

Bekas ko tashnakaam ko bepar ko kya kiya Ay zalimo shabiye payembar ko kya kiya Miltha nahi mere Ali Akbar ko kya kiya - jawab Lillah do patha ke bhatakthe hain rah mai Shayed giradiya mere yusuf ko chah mai - jawab 6) Ye kehke har taraf gaye bachashme ashkbaar

Lekin mila na laashaye farzande naamdaar Khaime ki simth aaye jo rothe bahale zaar Chillayi sarko peet ke fizza jigar figar - jawab Ya shah mai bhi aneko thi fauje shaam mai Milthi nahi hai Zainabe bekas khiyam mai - jawab 7) Ye sunke khak orathe chale sarware zama

Ja phonche laashaye Ali Akbar pe naghan

Dekha ke binthe Fatima ba chashme khoon fishan Karthi hai laashe Akbare mazloom par fughan - jawab Na dosh par rida hai na rukh par naqab hai

Kaneon ke bunde hilthe hain ye izteraab hai - jawab 8) Chillathi hai ke goodh ka pala kahan gaya

Ankheon ka noor ghar ka ojala kahan gaya Chashm chirage syede wala kahan gaya

Mera wo lambe gesonwo wala kahan gaya - jawab Do bete khoke paya tha is nonehaal ko

Barchi se kisne qathl kiya mere lalko - jawab 9) Zainab ka haal dekhke roye shaye anaam

Khahar ke paas ake kiya istarah kalam Dilko sambhalo abke ye hai sabrka mukhaam

Zinda hai ay bahen abhi shabeere tashna kaam - jawab Tum jao mai othatha heon Akbar ki laash ko

(14)

Daulath Koyi Duniya Me Pisar Se Nahi Bethar

1) x Daulath koyi duniya me pisar se nahi behthar Rahath koyi arame jigar se nahi behthar Lazath koyi paakiza khamer se nahi behthar

Nikhath koyi booye gule tarse nahi behthar - jawab Sadmeon me ilaje dile majrooh yahi hai

2) Malik se bhare ghar ke ojad jane ko poocho Ghar waleon se ye tafrekha padjane ko poocho Maa baap se kismath ke bigadjane ko poocho

Shabeer se Akbar ke bichad jane ko poocho - jawab Allah na dikhlaye alam noore nazar ka

(15)

Reeha hai yahi rooh yahi rooh yahi hai - jawab Behjatha hai ankheon se lahoo khalbo jigar ka - jawab 3) Jis waqt ke Akbar ko laga zakhm jigar ka

Seene me ruka aake dam osrashke khamar ka Girthe howe ghode se khiyaal aya pidar ka

Chillaye ke ab kooch hai duniya se pisar ka - jawab Bekas ki musafir ki khabar leejiye baba

Apne Ali Akbar ki madad kijiye baba - jawab

4) Bete ki sada sunke howa sadmaye janka Ek hook kaleje me othi baith gaye shah Maloom howa jaan chali ah ke hamrah

Dil thaam ke hatheon se kaha ya Asad-u-llah - jawab Rang odgaya tha gesooweon pe gard padi thi

Teura ke jo sambhle tho basarath me kami thi - jawab 5) Chillaye bathado Ali Akbar kidhar ayen

Dhoonden tumhe ab baher me ya suye bar ayen Bethab hai dil qalb me lashkar ke dar ayen

Tum oth nahi sakthe tho ham hi laash par ayen - jawab Maa baap ke jeene ka maza legaye beta

Odha jo tumhara tha hame degaye beta - jawab

6) Beta hame phir ya abatha kehke pukaro Mazloom o gareebul guraba kehke pukaro Nashado girafthare bula kehke pukaro

Lab tashna o mazboohe khafa kehke pukaro - jawab Jo waqt moyian hai wo hargiz na tale ga

Khanjar meri gardan pe isi tarha chale ga - jawab 7) Le aayi jo bethabiye dil laashe pisar par

Jhukthe hi nazar pehle padi zakhme jigar par Ek teer laga qalbe shahe jino bashar par

Seene pe kabhi haath ko mara kabhi sar par - jawab Opar ke dam os shair ko bharthe howe dekha Baba ne jawan bete ko marthe howe dekha - jawab

8) Chillaye shahe dee Ali Akbar pidar aya Otho mere pyare mere dilbar pidar aya Tum dhoondthe the ay maye anwar pidar aya Nashaad pidar bekaso bepar pidar aya - jawab Kuch dilki kaho baath karo hoosh me aao Sadkhe pidar aao meri aghoosh me aao - jawab

9) Meon khoole ho kyon teer ko gardeon se nikalon Gar dard na ho hatheon se bazoo ko sambhaleon Girtha hai pahad osko main kistarha se taleon Marthe ose dekheon jise aghoosh me paleon - jawab Bhe bhe ke lahoo me jigar atha hai tumhara

Seene se kalega nazar atha hai tumhara - jawab

x10) Ghash me jo suni baap ki awaz pisar ne Bas hatheon ko pehla diya os rashke qamar ne Liptaya jo chaathi se shaye jinno bashar ne

Meon khoolke dikhlayi zaba tashna jigar ne - jawab Farmaya ke khatra mere jaani nahi miltha

Majboor heon beta mujhe paani nahi miltha - jawab 11) x Ye sunthe hi bas ankheon se ansoo howe jaari

Meon phairke dekha sooye sehra kayi baari Ki arz huzoor ayi hai Zehra ki sawari

Phir dard otha seene me aur ghash howa tari - jawab Khole howe ankheon ko musafir howe Akbar

Hichki ko bas ana tha ke akhir howe Akbar - jawab

(16)

1) Ibne Ali jo baghe risalath luta chuka Bhai ki aur baap ki daulath luta chuka Poonji haram ki apni bizaath luta chuka

Sab kuch baraye bakhshishe umath luta chuka - jawab Bakhi koyi shaheedeon ke dafthar me ab nahi

Juz Abide mareez koyi ghar me ab nahi - jawab 2) Tanha khade the fauj me shahe falak wikhar

Jo aayi chaar simath se phir fauje budhsheyar Dekha ke hai niyam me Hyder ki zulfekhar

Jurath hoyi har ek ko badhkar lagaye waar - jawab Yaade khuda me shah ne sab ko bhula diya

Jab zakhm khaya shuker kiya muskura diya - jawab 3) Muzthar na ho lage tho lage nawake sitham

Kuch gham nahi jo padthi hain talware dambadam Maren na dam jo tanse ho sau baar sar khalum

Rahath ye dukh samajthe hain rahe khuda me ham - jawab Paida howe hain dardo museebath ke wasthe

Ye sab khubool hai hame unath ke wasthe - jawab 4) Ye kehthe the ke sarpe lagi taighe aabdar

Naiza sina ka hogaya seene ke waar paar Girne lage jo zeese imame falak wikhar

Baitha zamee pe taik ke ghutneon ko rah waar - jawab Ghash me jigar pakad ke badardo alam gire

Sambala gaya na kahk pe shahe omam gire - jawab 5) Khanjar pakad ke shumer chala asthee chadhaye

Bola ye ibne saad ke khuli bhi sath jaye Duno layee jo lashaye Sarwar ke paas aye

Pehloo se Fatima ne sada di ke haye haye - jawab Kahnjar liye howe sitham eejaad aye hain

Chaunko Hussain zibha ko jalad aye hain - jawab 6) Bekas ka koyi yaar hai is dum na gham gusaar

Mushkil ki ye ghadi hai ke hai waqte ehthezaar Kya kehrahe ho hoont jo hilthe hain baar baar Behre madad Ali ko pukaro ye maa nisar - jawab Bole Hussain zikre khuda karrahe hai hum

Umath ki maghferath ki duva karrahe hai hum - jawab 7) Kyonkar kaheon tathadule shumere sitham sheyar

Pyase gale pe shai ke rakhi teghe aab daar Ghar se odhar nikal padi Zainab jigar figaar Chillayi meon Nijaf ki taraf kerke ek baar - jawab Halkhe Hussain kattha hai khanjur ki dhaar se Ya Murthuza Ali nikal aao mazaar se - jawab

(17)

8) Ya shere kirdagaar olat do jahan ko Fariyaad se hila do zamee aasmaan ko Karthe hain zibha ahle sitham mehmaan ko Ya Mustafa bachalo mere bhaijaan ko - jawab Shamsheer chalne paye na pyaase ke halkh par Rakhdije halkh apna nawase ke halkh par - jawab 9) Ye kehke suye mukhthale shahe umum chali

Meon apna peethi howi badardo gham chali Othkar kabhi giri tho kabhi do khadam chali Aur wa guluye shah pe teghe do dum chali - jawab Phonchi tho khatema tha shahe mashrekain ka

(18)

Jab Gul Howa Chirage Haram Qaide Shaam Me

1) Jab gul howa chirage haram qaide shaam me Yane Sakina margayi yade imam me

Dekhe sitham yazeed ke darbare amm me Shae ke salam ko gayi darus-salam me - jawab Duniya me daadrus na mila daad kah ko

Jakar nisha tmancheon ke dikhlayi shah ko - jawab 2) Ghul padgaya Hussain ki ashiq ne ki qaza

Bano ne nafz dekhi tho paya na dam zara Chillayi sadqe jaon mujhe degayi dagha Apni kahi na meri suni haye kya kiya - jawab Asghar ko kuch payam bhi me ne diya nahi

Tum chal basi aur amma ne rukhsath kiya nahi - jawan 3) Baba ki pyari amma ki pyari zaban ko khool

Layi heon sharbath ay meri pyasi dahan ko khool Ma rorahi hai dedaye gohar fishan ko khool

Mehma bhande gale se na ja reesma ko khool - jawab Dadi kodhengi bibi ki zulfe sawar leon

Lo otho ye patah howa kurtha othar leon - jawab 4) Asghar ki bhooli bathen sunao neesar ma

Akbar ka zikr karke rolao neesar ma Seli ka neel mako dikhao neesar ma

Baba ko jake darpe bulao neesar ma - jawab Matham ke ghulghule hai na rone ke joosh hai Bibi jo ab khamosh hai tho sab khamosh hai - jawab 5) Meon dhapne ka waqt hai pichla pahar howa

Baba ko tere rothi heon oth sath de mera Kurthe se meon ko dhapke pehlo me baitja Amma ki beti amma ko awaz de suna - jawab Matham sara ye ghar tha tere bain karne se Zindan soona hogaya bibi ke marne se - jawab 6) Yan kiske paas rehthi shahe karbala nahi

Bibi ke naaz othane ki khathirchacha nahi Nadar ma hai paani nahi aur ghiza nahi

Par ab kafan ke wasthe mutlaq rida nahi - jawab Amma ke paas rehne se eeza otha chuki

(19)

7) Darpaish thi jo bibi ko mulke adam ki rah Onrozon ma ka pyaar ziyada howa tha ah

Kehthi thi mujhse shaam ko phir honga tum tabah Bawar na mujhko atha tha ay noore chasme jaan - jawab Ab maa se tum bichadgayi kunbe se chutgayi

Samjhi thi tum me lutgayi wallah lutgayi - jawab 8) Akbar juda na hothe the baba se ek dum

Asghar se aur tumse baheltha tha mera gham Ab na omeed hogaye dono taraf se ham

Dukhiyare mere dukhki sada khayenge khasam - jawab Taqdeer kaisi phirgayi mujh khastha haalki

Wo che mahine ke gaye tum chaar saal ki - jawab 9) Baano ke bain sunke haram roye beshumaar

Sunkar ye ghul pukara yazeede jafa sheaar Bhijwaya shey ka sar bhi aur onko nahi kharar Ayi khabar ke baap pe beti howi nisaar - jawab 10) Alkhissa is janaze ko lekar chale haram

Manind shamiyane ke khole howe haram

Jab makhbare me shaam ke ponche aseere gham Aur khabr me othra wo murda ba chasme num - jawab Balaye qabr ahle haram roye shor se

Awaz ayi bache ke rone ki goar se - jawab 11) Jhuk jhuk se dekha bewon ne tho ye nazar pada

Baithe howe hain qabr me Sultane karbala Asghar hai onki goad me khakar ko roraha

Zainab ne leke hatheon pe murde ko ye kaha - jawab Apni nishani dukhtare khaibar shikan se lo

(20)

Jab Khathema Baqair Howa Fouje Shah Ka

1) Jab kathema baqair howa fouje shah ka Kosar pe qafela gaya pyaasi sipah ka Ghar lutgaya janabe risalath panah ka

Qakh odhrahi thi haal ye tha baargha ka - jawab Bhai the ne rafiq na wo nooreain the

Do behne rone wali thi aur ek husain the - jawab 2) Deori wo subah takthe do rastha jahan sawaar

Qadim wahan tha koyi na rafeeqo yaar Wo loo wo dopaher ki tapish aur wo ghubaar

Parda hawa se sar ko pataktha tha baar baar - jawab Aafath thi bekasi thi mosibath thi yaas thi

Be fauj badesha tha deori udaas thi - jawab 3) Farmathe the ke wah ye taaqeer aye ajal

Akbar ke baad kaunsa tha zeesth ka mahal Ab mujhko ek baras ke baad hai ek paal

Mauth aye ab ye hai shajare zindagi ka phal - jawab Ek ja churi galon pe jo chalthi tho khoob tha Ye jaan onke sath nikalthi tho khoob tha - jawab 4) Ham sabke baad qalk se jaane ko rehgaye

Sar peetne ko ashk bahane ko rehgaye Is nawjawan ka daag thane ko rehgaye Piri mai ah thokre khane ko rehgaye - jawab Beta kahan qabar jo dame intheqaal le

Ithna nahi koyi ke gireon tho sambhal le - jawab 5) Naghah sooye lashe pisar japadi nazar

Chillaye dil ko thaamke sulthane bherobar Sothe ho kya dhare howe ruqsaar qakh par

Akbar othoke ke ghorese girtha hai ab pidar - jawab Boole pidar ko neendh mai qurbaan apke

Aayo namaze asar padho sath baap ke - jawab 6) Abbase naamdaar tarayi se othke aao

Phatha hai khalb jalrahe hain sab jigar ke ghaao Chidko meri zirape jo pani kahi se paao

Chalthe howe adam ke musafir se milthe jaao - jawab Gaflath ki tumko neendh hai shabbeer kya kare Meri tarah kisi ko na bekas khuda kare - jawab

(21)

7) Chilaya foujko pisare saadenabekar Lo ghairlo hussain ko sab milke ekbaar Palte pare sawareon ke lekar risala daar

Do ghaul bandhe aye kamadaar das hazaar - jawab Theer afghaneon mai thegeon mai bhaleon mai ghirgaye Bekas husain bharchiyeon waleon mai ghir gaye - jawab 8) Fariyaad hai wo fauj ke dal aur ek hussain

Wo beshumaar thegheon ke phal aur ek hussain Wo teere jasithan wo jadal aur ek hussain Wo sainkdo payame ajal aur ek hussain - jawab Faujon me shaam ki maye taban ghira howa Bekas bhi wo ke jisse zamana phira howa - jawab 9) Kyonkar kaheon ke arshe khuda khaak par gira

Khairunissa ka mahe lakha khak par gira Sartaje badesha gada khak par gira

Zeese olatke rahenuma khak par gira - jawab Wo do hazar zakhm tane chaak chaak par

Kya guzri hogi jabke gire heonge khak par - jawab 10) Fizza ne jake khaimeon me baywe ko di khabar

Hai hai mere khuzade ka kattha hai tanse sar Bisthar se othke girpade sajjade nohagar

Khaime se nikli bibiyan bacheon ko chod kar - jawab Hiltha tha arsh hazrathe Zainab ke bain se

Gir gir ke daudhi thi ke milleon Hussain se - jawab 11) Chillathi thi aray mera bhai hai kistaraf

Luti howi Ali ki kamayi hai kistaraf

Dariya kidhar hai khoon ka tarayi hai kistaraf Sone ki ja Hussain ne payi hai kistaraf - jawab Rastha de ay zameeka falak ki sathayi heon Mai apne pyare bhai se milne ko ayi heon - jawab 12) Mai syeda heon rahem karo laash ko bathao

Ay ahle khariya binthe Ali ki madad ko aao Duniya me tum kushi raho okhba me chain pao

Syed kidhar hai khoon me ghaltha bathaye jao - jawab Ya lutgaye falak ne ye dukh hampe dale hain

Ay bhaiyo Madeeno ke ham rehne wale hain - jawab 13) Shay ke karahne ki jo ane lagi sada

Daudi odhar nabi ki nawasi barehna pa Dekha bahen ne katthe huwe bhai ka gala

Ankheon pe hath rakhke giri binthe Murtuza - jawab Gham se kaleja phat gaya Zehra ki jayi ka

(22)

Jab Sadre Zee Se Girpade Abbase Bawafa

1) Jab sadre zee se girpade Abbase bawafa Jangul se ayi giriyaye Zehra ki bhi sada Akbar ne daud kar shahe wala se ye kaha

Chaliye huzoor naher pe maregaye chacha - jawab Bedasth dushmaneon ne kiya os delair ko

Ro ayiye tarayi me hyder ke shair ko - jawab 2) Ye sunke peetthe howe othe zamee se shah

Farmaya hai gazab mere bachche howe tabha Ye kya kaha ke ankheon me din hogya tabha Mazloom se bichad gaye Abbas ah ah - jawab Mudath howi tamam Sakina ke chain ki

Toda falak ne aaj kamar ko Hussain ki - jawab 3) Ye kheke soye naher chale shahe karbala

Maninde baid kanpthe the shay ke dathopa Ammama tha na farkh p ene dosh par rida

Tasweer war the hama tan sibthe mustafa - jawab Makhtal ki khak se tane anwar ata howa

Seena khula howa tha gareban patha howa - jawab 4) Phonche juheen tarayi me badidaye puraab

Dekha tapa hai khak pe farzande buturab Shaneon pe ki nazar tho jigar ko rahi na taab Bas haye bhai kehke gira wo falak janab - jawab Bekar dastho paa the shahe kush khisal ke Le aye laash tak Ali Akbar sambhal ke - jawab 5) Meon rakhe khoon bhare howe chehre pe di sada

Bhaiya Hussain aya hai awaz do zara Haihath dono hath badan se howe juda

Bazoo ke sadkhe in tere shaneon ke mai fida - jawab Bhaiya hamare hath tho bekaar hogaye

Tum hath khoke jafare tayiyaar hogaye - jawab 6) Sunkar sadaye hazrathe shabeere naambar

Khola laho bhari howi ankheon ko ekbaar Sar rakhke paye shay pe ye bola wo ziwikhar Tashreef aap laye zahe izzo ifthekhar - jawab Ji chahtha hai ye ke nisare huzoor heon

(23)

7) Meon rakh ke meon pe kehne lage shahe kushkhisaal Abbas mai kin ankheon se dekheon tera ye hal Is dum bhi hai tumhe mere adaab ka khiyaal Jab zibha honge hum tho kise hoyega malal - jawab Sadkhe Hussain tere tane pash pash ke

Ek baar hamko gird tho phirne do laash ke - jawab 8) Ye sunke os dilair ne ek sard ah ki

Mashkize pe tadap ke bahasrath nigha ki Sar sharam se chupa liya godi me shah ki Halath tabha hogayi hyder ke mah ki - jawab Jab dil ko bekali ho tho kistarha kal pade

Zanu pe shay ke ankheon se anseon nikal pade - jawab 9) Farmaye shay ne kisliye rothe ho bar bar

Lo ab kuch apna haal kaho tum pe mai nisar Kya ji pe hai bani jo tadapthe ho bar bar

Ki arz os jari ne ke hai waqthe ekhtezaar - jawab Akha se chootne ka khalakh hai gulaam ko

Paonga ab kahan shahe gardeon mukham ko - jawab 10) Ye kehthe the ke phir gayi ankheon ki puthliyan

Hichki ke sath agayi sookhe labeon pe jaa Hasrath se dekh kar tarafe shahe inso jaa Duniya se kooch kargaye abbase naujawa - jawab Choda jari ne sath shahe mashrekhain ka

(24)

Jis Dum Nageene Khatime Paighambara Gira

1) Jis dum nageene khatime paighambara gira Raunakh othi zamee se imame zama gira Girne pe sab guroho liye barchiyaan gira

Hai hai na in jafaeon pe bhi asmaan gira - jawab Zehra se poochiye ye khalaq noore ainka

Tapna zamee pe aur tadapna Hussain ka - jawab 2) Sab thumb gaye magar na thama shumere badshiyam

Sar peetne kija hai rakha osjaga khadum Seena daba tho aur bhi tadpe shahe omam

Shoro fughan suna ossi halath me dam ba dam - jawab Khathil se poocha dekh khidar ghul ye hotha hai Hai hai Hussain kehke koyi runme rotha hai - jawab 3) Wo bola koyi hoga mai dekheon bhala khidar

Ab taig par nigha hai shairag pe hai nazar Han jab sawar hone laga tha me seene par Saidani ek nikli thi khaime se nagge sar - jawab Is dam hamari fauj me tho eid hothi hai

Mujhko yakheen hai ye wohi bibi rothi hai - jawab 4) Shai bole aur koyi nahi ye bahen bahen

Ashiq bahen Hussain ki tashna dahen bahen Bhooli hamare pyaar me maa ka chalan bahen

Balwa kahan kahan ye meri khas tha tan bahen - jawab Kahthil pukara aage bhi baher ye ayi thi

Shai bole jab sina Ali Akbar ne khai thi - jawab 5) Wo rona be kasi ka wo ghabrana yaas ka

Wo thartharana dilka wo orna hawas ka Kehna bilak bilak ke ye kalma hiras ka

Ay shumr waastha Ali Asghar ki pyaas ka - jawab Lillaha theen roz ke pyaase ko chorde

(25)

6) Thamja khuda ko maan habeebe khuda ko maan Zehra ko maan hazrathe mushkil kusha ko maan Saugande fikhro fakhaye aale aba ko maan Apni rasool zadi ki thu iltega ko maan Sare buzurg margaye mujh bad naseeb ke Mera koyi nahi hai siwa is ghareeb ke - jawab 7) Sonpa kise bahen ko mai poochoongi bhai se

Pardase me bichad the ho Zehra ki jayi se Ye bekhatha hai pooch le sari khudayi se

Dawa hai kya tujha meri ma ki kamayi se - jawab Kuch qarz hotho baich ke ghar ko ada karoon Samjhaon kistarah tujhe mai ah kya koron - jawab 8) Ay shumr mai gale se lagaleon tho zibha kar

Bhai se milke khaime me jaleon tho zibha kar Kuch dard apne dilka sunaleon tho zibha kar

Syed ko khibla roo mai litaleon thu zibha kar - jawab Pani tho bhooke pyaase ko ay badkhisaal de

Hai waqthe zibha ankheon pe kadpa tho dalde - jawab 9) Ye kehthe kehthe susth howi dam olat gaya

Sar peetthi ye rahgayi sar shai ka kat gaya Yon laash par giri ke jigar sabka phat gaya Bahen gale me dalke lasha lipat gaya - jawab Maa ki tarha thi aashaqe shahe zaman bahen Ye bhai bhai kehthi thi laasha bahen bahen - jawab

(26)

Pidar Ki Mauth Hai Marna Jawan Bete Ka

1) Pidar ki mauth he marna jawan beta ka Safar jahan se karna jawan bete ka

Ghazab hai khoon mai bharna jawan bete ke Sitham hai ji se guzarna jawan bete ka - jawab Shabab tha ke shahe mashrekhain se choote

Moheboo peeto ke Akbar Hussain se choote - jawab 2) Khuda pidar ko na dhiklaye marge rahathe jaa

Kalega zakhmi ho jab dil ko phir kharar kahan Odhar tho seenaye Akbar se guzri noke sina

Lahoo idhar howa chasme imame deen se rawa - jawab Tarap ke janibe gardeon nigha ki shaiy ne

Zameen hil gayi ek aisi aah ki shaiy ne - jawab 3) Pukarthe howe daude mere shaheed pisar

Mere jawa mere mehroo mere sayeed pisar Mere hasee mere yusuf mere rasheed pisar

Khareeb ho kaheen maidan se ya bayeed pisar - jawab Pidar pe aaj nayi waredath hai beta

Khabar nahi mujhe din hai ke rath hai beta - jawab 4) Kidhar gaye mere gul pairahan Ali Akbar

Mere khaleeq mere kam sukhan Ali Akbar Jawana marg ghareebul wathan Ali Akbar Ojad kar gaye mera chaman Ali Akbar - jawab

(27)

Bulake ghar se yahan ashkhiya ne loot liya Duhayi haike muje karbala ne loot liya - jawab 5) Pukarthe the ke ay shair phir pukar mujhe

Nahi bathane ke lasha ye nabakar mujhe Tere firakh me hai zeesth nagawar mujhe

Sada sunade mai sadkhe phir ek bar mujhe - jawab Gale lagalo ke seena hamara jaltha hai

Kalega mu se koyi damme ab nikaltha hai - jawab 6) Pukari dewdi se bano pisar milake nahi

Bathao marhame zakhme jigar milake nahi Sitham ke abar me mera khamar milake nahi Ali ke laal wo aali gohar milake nahi - jawab Shitab lao mere mantheon ke pale ko

Tumhi se loongi mai apne muradeon wale ko - jawab 7) Sada ye sunthe hi sultane behrobar daude

Ye darde dil the ke thame howe jigar daude Khabhi tho fauj pe maninde shere nar daude Kabhi idhar gaye rothe kabhi odhar daude - jawab Luti howi wo kamayi basad talash mili

Zamee pe khoon me ghaltha pisar ki laash mili - jawab 8) Ajeeb halathe farzande naujawa dekhi

Atash se hoonteon pe nikli howi zaban dekhi Khamar se chehre pe zardi labeon pe jaa dekhi Kalega phatgaya seene mai jab sina dekhi - jawab Pidar ke saamne bete ka dam okhadtha tha

Hussain dekhthe the aur ghar ojadthe tha - jawab 9) Khareeb laashe pisar baitkar ye farmaye

Zameene garm se beta otho ke ham aaye Sada ye sunthe hi Akbar ne hath phailaye

Lipatke laash se shai lab pe ye sukhan laye - jawab Gale lagalo Mohammed ka mai nawasa heon

Zaban dikhake kaha ya Hussain Pyasa heon - jawab 10) Ye kehke shahse kheenchi gareeb ne ek aah

Jigar me hone laga dard aahke hamrah Ajeeb yaas ki nazreon se dekhkar rukhe shah Kahake ashhodohan lailaha illalla - jawab

(28)

Bas aur kehna sake kuch ye haal ghair howa

Sooye behishith gaye khatema bakhair howa - jawab

Run Se Jab Khake Sina Akbare Zeeshan Aye

1) Run se jab khake sina Akbare zeeshan aye Maa ki khidmath me koyi aan ke mehmaan aye Ghar me laashe ko liye shahe shaheedan aye Nohagar khak basar chaak garebaan aye - jawab Di sada khathul huye Yusefe saani bano

Milgayi khak me Akbar ki jawani bano 2) Dekh le akhri deedar pisar martha hai

Samne ankheon ke ye noore nazar martha hai Abkoyi dam me mera rashke Qamar martha hai

Meon se bahar hai zaban tashna jigar martha hai - jawab Dum hai seene mai ruka zakhmeon se kheon jari hai Shaher bano tera ghar lutne ki taiyaari hai

3) Phonchi khaime me jo hazrath ki ye purdard sada Muztarib hogaye naamuse rasoole dosare

Kaha chilla ke Sakina ne ke hai hai bhaiya

Fizza daudi suye dar phainkke sarpar se rida - jawab Peetthi Zainabe muzthar nikal ayi bahar

Bano ghabrake khule sar nikal ayi bahar - jawab 4) Shai ke khande pe jo dekhe Ali Akbar ko nidhal

Haath pehla ke ye chillayi ke hai hai mere laal Kya gazab hogaya ay badhshahe nake khisaal Raas aya na mere bache ko atharwan saal - jawab Tukre thegeon se badan ho gaya sara hai hai Kaun tha jisne mere shair ko mara hai hai - jawab

(29)

5) Ruke bano se ye farmane lage sarware deen Sarna peeto abhi zinda hai mera mahe jabeen Saans athi ha pa har dam hai dame bazpasi

Kooch inka bhi hai aur ham bhi hai marne ke kharee - jawab Sab chute ab na raha koyi hamara bano

Is jawan bete ke ghamne hame mara bano - jawab 6) Kehke ye laashe pisar khaime me laye Sarwar

Hath Akbar ke sambhale tha koyi aur koyi sar Shay ne farzand ko ahistha litaya jakar

Girke pehlu me thadapne lagi maa khasthe jigar - jawab Kehthi thi dil pe sina zulm ki khayi beta

Ankh kholo nahi marthi hai ye dayi beta - jawab 7) Sun ke mada ki sada khowl diye didaye num

Hath uthakar kaha rowo na mere sarki khasum Paas akar hame chathi se lagalo isdum

Ran sa aye hai tumhari hi mulakhat ko hum - jawab Phir ye ghar shah ke iqbaal se dekha ham ne Par tumhe ake ajab haal se dekhe ham ne - jawab 8) Baal bikhre hain kyon painkh di sarpar se rida

Neel kyon seene pe hai kyon hai garebaan phata Khak kyon meon pe mali ho ye pisar tumpe fida Shah duniya me salamath rahe ye kya ye kya - jawab Lutgayi ye na sukhun meon se nikalo amma

Mai tho jeetha heon kaleje ko samhalo amma - jawab 9) Zakhmi hone ki mere kisne khabar phonchaee

Jhoot hai mai ne tho hargiz nahi barchi khayi Aap thak bete ko taqdeer salamath layi

Dekhe hazrath ke khadam than me mere jaan ayi - jawab Marq se phele ho matham ye zabu hai amma

Mere kapdeon pe tho Abbas ka khoon hai amma - jawab 10) Arzoo hai ke pahle phoole mera nakhle murad

Tum dulhan biyah ke lao mera ghar ho abaad Dekhleon ankheon se apni me tumhari aulad

Phir mai duniya se jo guzreon tho rahe rooh bhi shaad - jawab Dadi kehlaongi ruthba mera barthar hoga

Tera farzand bhi hamshakle payamber hoga - jawab 11) Akhi sunke ye Akbar ne basad ranjo malal

Dard chathi me otha gair howa aur bhi haal Dil me ye soonchke rone laga wa nail khisal

Ham safar karthe hain amma ko hai shaadi ka khayal - jawab Bar me hoyega kafan khak pe chera hoga

(30)

Zakhmi Jo Runme Fatima Ka Gulbadan Howa

1) Zakhmi jo runme Fatima ka gulbadan howa Aur purze purze tanme libase gohan howa Gash pushthe zuljanah se sehahe zaman howa Dasthe alam se chak nabi ka kafan howa - jawab Zakhmeon ke meon se khoon ke dariya obal pade Sar nange khabar se shahe mardan nikal pade - jawab 2) Mazloom kahthe jatha tha mai begunah heon

Maro na mujhko sibthe risalath panah heon Tum logeon ka khuda ki khasam khair kha heon Is khaul par khuda ko me raktha gawah heon - jawab Kuch rahem atha tha na kisi nabekar ko

Shamsheere marthe the garibud dayar ko - jawab 3) Naiza laga jo seene pe tharra ke rehgaye

Baitha jo teer mathe pe tewra ke rehgaye Girne lage jo hatheon ko latkake rehgaye

Shukre khuda zaban se farma ke rehgaye - jawab Akbar na the julu me na Abbas paas the

Mazloom beech me tha adu aas paas the - jawab 4) Seene pe bhala rakhke giraya Hussain ko

Ji bhar ke zalimeon ne sathaya Hussain ko Girne pe khak toda banaya Hussain ko

Hai zulm ki ye had ke gash aya Hussain ko - jawab Par dekhiyo hawas shahinshaye naik ke

(31)

5) Dewdi pe aye sab harame badshahe deen Boli ye peet peetke sar Zainabe hazee Aya koyi yaha hai musalman ya nahi

Baitha hai kis buzurg ke seene pe ye layi - jawab Ay ibne saad Fatima ka kunba rotha hai

Tho dekhtha hai bhai mera zibha hotha hai - jawab 6) Bola umar ke roklo khaime ka samna

Ek ghaul ake khaime ke darpar khada howa Is zulm se bas aur bhi Zainab ka dam ghuta

Fizza ko run me bheja ke Hazrath ko dekha - jawab Makhthal ko wo badhi thi ke mudkar ek ah ki Katthi hai bosa gahe risalath panah ki - jawab 7) Pani wo mangthe hain pilatha nahi koyi

Is dard ko khayal me latha nahi koyi Kya khaher hai ke paas bhi atha nahi koyi Seene se behaya ko othatha nahi koyi - jawab Ama tumhari peetthi hain bilbilathi hain

Wo bete se lipat thi hain huren chudathi hain - jawab )

Zainab ne baal kholke run ko khadam badhaye Saidaniya bhi sath chali gardane jhukaye Zainab pukari haye mere bhaijaan haye

Bhaiya pukarlo ye bahen kistaraf ko jaye - jawab Bhejeon kise talash ko sab mere margaye

Ankhen bahan ko dhoondthi hai tum khidar gaye - jawab 9) Nagha chale umarki taraf runse ehle shaam

Alfatha ki nida howi baje baje tamam Wanse badhi jo bahi ki ashiq wo chand gaam Besar mila thataptha howa lashaye imam - jawab Jo waqthe zibha sibthe payember ka haal tha Wo lashaye Hussain pe khawher ka haal tha - jawab

(32)

Qaid Me Dukhthare Sultane Zaman Akhir Hai

1) Qaid me dukhthare sultane zaman akhir hai Baap ki yaad me awara wathna akhir haie Zulm uthe nahi mehboose rasan akhir hai

Kehthi thi aap girafthare mahen akhir hai - jawab Qaid me yon tho gunahgaar bhi kam marthe hain Jistarha khanaye tareek me ham marthe hain - jawab 2) Marazul mauth hai aur kasrathe andoho fughan

Haif sad haif howe naza ke asaar ayan Karwate lene lagi jaane imame do jahan

Kuch ajib yaas se daam thodthi thi wo nadan - jawab Karb me baap ki ashiq jo zamee par tadpi

Maa bhi dil thaam ke beti ke barabar tadpi - jawab 3) Royi saidaniya sajade hazee ghabraye

Jald tashreef Sakina ke sirhane laye Bediyan pehne howe ashk bahathe aye

Oska meon dekhthe hi azo badan tharraye - jawab Sadmaye ye furkhathe mehboose rasan se roye Naza me khoob gale milke bahen se roye - jawab 4) Osne ahisthe kaha ham hain musafir bhai

Bakhash do jurmo khatha sabiro shakir bhai Sadmaye qaid ne mara hame akhir bhai

(33)

Samne hakime azlam na bulaye tumko

Ham chale qaid se Allah bachaye tumko - jawab 5) Hasil ay bhai meri aaj tamanna hogi

Khuld me aaj ye shabir ki shaida hogi Aaj phir shah ke seene pe meri jaa hogi

Par ye gham hai ke tumhe dafan me eeza hogi - jawab Na siwa dafano kafan ke mera sama karna

Isi kurthe me mujhe khaak me pinha karna - jawab 6) Phoopi amma ko bohat ranj na khane dena

Ashk amma ko na har waqt bahane dena Shumar ko meri lahed par bhi na ane dena Laye wo dafn ka sama tho na lane dena - jawab Zulm se dilbare zehra ka gala kata hai

Nahakh osne mere baba ka gala kata hai - jawab 7) Chup howi hay pidar kehke Sakina zeeja

Murdani chahgayi os chand se meon par nagha Shor tha gulshane fani se chali dukhthare shah Hichki beti ne jo li maa ne kaha bismillah - jawab Royi sarpeet ke nacharo pareshan Zainab

Khaak pe bait ke padhne lagi Quran Zainab - jawab 8) Dastho pa sard howe rang badal the dekha

Khaak par nannhi si gardan ko bhi dhal the dekha Os mareeza ghame shay ko na sambhal the dekha Boli banoye hazee dam jo nikal the dekha - jawab Baap ke paas gayi meri Sakina hai hai

Margayi dukhthare sultane madina hai hai - jawab 9) Shor tha haye gazab dafan ki tadbeer nahi

Aur waris koyi juz abide dilgeer nahi Aaj abbas nahi hazrathe shabir nahi

Inthehaye sithame lashkare bepeer nahi - jawab Tarfa saman kiye hamko sathane keliye

Ek chadar nahi mayiath ke odane keliye - jawab 10) Kehthe the peet ke sar ale payamber hai hai

Syede bekafan o goar ki dukhtar hai hai Margayi soognashine shaye safdar hai hai Hoga aisa na koyi bekaso bepar hai hai - jawab Dare zinda ka nigheban bhi osdam roya

(34)

Shore matham jo sona hakime azlam roya - jawab 11) Tha maraz aur ye mohtaaj thi bistar keliye

Na mayasar thi dava bekaso muztar keliye Na diya tuna ye muhtaaj rahi sar keliye

Kaan par hath dhare rehthi thi gohar keliye - jawab Margayi phir bhi aseeri ka guma bakhi hai

Reesma ka abhi shaneon me nisha bakhi hai - jawab

Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai

1) Azeezo Zainabe muzthar ka aaj matham hai Azeezo Zeenathe Hyder ka aaj matham hai Ali ki ladli dukhthar ka aaj matham hai

Ghareeb shah ki khahar ka aaj matham hai - jawab Sukoone khalab khuda ke habeeb ko deeje

Bahen ka pursa Hussaine ghareeb ko deeje - jawab 2) Dubare khaid howe jabke Syede Sajad

Aseer karke sowe shaam lechale jalad Tadap ke sath howi haye Zainabe nashaad

Nabi ke rauzaye akhdas pe jake ki fariyaad - jawab Shaheed hogaya bhai Hussain ay nana

Magar nahi hai layeeno ko chain ay nana - jawab 3) Phir aaj Abide bepar ke sath jathi heon

Yazeede nahes ko khaufe khuda dilathi heon Khuda ne chaha tho is laal ko chudathi heon Hayath bakhi agar hai tho wapas athi heon - jawab Jo aye rahme mauth aap ayiye nana

Hamari laash pe anseon bahaiye nana - jawab 4) Ye sunke othi gayi Fatima ke rauze par

Lipat ke khaber se kehne lagi ye khastha jigar Otho otho meri amma ke ayi hai dukhthar Aseer hogaya phir mera Abide muzthar - jawab Tamam gharko ojada magar na chain aya

(35)

Dubara syede Sajjad par sitham dhaya - jawab 5) Phira chuka tha sithamgaar darbadar amma

Dikhaya naize pe bhai ka mujhko sar amma Madeena bheja tha ghar bar lootkar amma Phir aaj hotha hai weeran sara ghar amma - jawab Chala hai khaid me phir zainulabedeen hai hai Rahegi chain se kya Zainabe hazee hai hai - jawab 6) Rawane hogayi phir sooye shaam wawaila

Khamoosh rothe the chauthe imam wawaila Azeez karthe the milkar tamam wawaila Layee rawana howe taizgaam wawaila - jawab

Likha hai rahme ek manzile ghareeb ayi

Bathul zadiki hai hai khaza khareeb ayi - jawab 7) Nazar khuzadi ki nagah os shajar pe padi

Ke jis me rakha tha farkhe Hussain ibne Ali Tadap ke haye Hussaina kaha zamee pe giri

Othi sambhal ke tho fariyaad os shajar se ye ki - jawab Kahan hai bhai mera ay shajar batha jaldi

Hussain ke liye rothi heon khak oda thu bhi - jawab 8) Kalega agaya meon ko tadap raha tha jigar

Ziyarath shahe karbobala padhi rokar Namaz padhne lagi jab ghareeb zaire shajar Abhi othaya tha na haye haye sajde se sar - jawab Sitham ka bailcha ibne thameem ne mara

Lahoo mussale pe bekas ka beh gaya sara - jawab 9) Kamar khameeda kiye Zainul-Abedeen aye

Sambhal kar dile sad pash ko kharee aye Ajeeb haal se lashe pe shahe dee aye

Kabhi tho charkh ko gah dekhthe zamee aye - jawab Ek ah ki sare Zainab ko leke zanu par

Thadap gaye jo kaha kuch phoopi ne rorokar - jawab 10) Adhu ka dais hai aur haye jan balab Zainab

Zaba se bath bhi karthi nahi hai an Zainab Chali jahan se othaye kayi tauab Zainab

(36)

Phir ayi puthliya behoosh hogayi bibi Odao khak ke khamossh hogayi bibi - jawab 11) Aseer syede Sajjad nafz dekhthe hain

Gareeb bekaso nashaad nafz dekthe hain Hai waqthe nalao fariyaad nafz dekhthe hain Nahi koyi paye imdaad nafz dekthe hain - jawab Hatake hath zamee par lita ke rone lage

Amama khak pe sar se girake rone lage - jawab 12) Hussain walo bathao kidhar gayi Zainab

Otha ke zulmo sitham kooch kargayi Zainab Musaferath me jahan se guzar gayi Zainab

Hazaar haif ke ghurbath me margayi Zainab - jawab Bas ek Abide muzthar hain khak adane ko

Hussain agaye markhad se laash othane ko - jawab

Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai

1) Ay momeeno kya sakhth yateemee ki bala hai Is zakhm ka marham hai na is ghamki dawa hai Pocho tho yatheemon se ke ye wakhiya kya hai Kis omr me ye dhaag Sakina ko mila hai - jawab Jab khatimaye shahe sarafraaz howa tha

Likha haike chautha baras aaghaaz howa tha - jawab 2) Issin me koyi baap juda hona pisar se

Furqath howi tifli me Sakina ko pidar se Pooche koyi ye dard yateemeon ke jigar se

Bachpan me pidar otha ho jin bacheon ke sar se - jawab Aaghaz is andhoka anjaame khaza hai

Ye daaghe yateemee nahi paighame ghaza hai - jawab 3) Zindan me mukhiyaad jo howe sab harame shah

Anboho khalaekh howa darwaze pe nagah Balwa howa is darja ke masdood howi rah

Sar sharm se zanjeer pe Abid ne rakha ah - jawab Tha wo arakhe sharm aseereon ke badan me

Rotha tha har ek azoo ghame shahe zaman me - jawab 4) Mashghool jo the khail me athfaal wo saare

Kahthi thi Sakina wahan hasrath se nazare Kehthi thi ke kya hogaye hamjoli hamare Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhare - jawab

(37)

Sab bachche yahan khailthe hain khanda zana hai Me khailthi thi jinse wo athfaal kahan hai - jawab 5) Bhar bhar ke dame sard ye ki bano se gufthaar

Is bachche ko dekho thoke kya khush hai ye dildaar Kya naame pidar pyaar se letha hai har ek baar

Ek ham hai ke hai baap ki furkhat me girafthar - jawab Dil me jo mere dard hai khaliq pe ayan hai

Mai kisko kaheon baap mera baap kahan hai - jawab 6) Baba mere hothe tho onhe kehthi mai baba

Ab baap kahan jisko kaheon baap me dukhiya Yon koyi pidar se beti se ghafil nahi hotha

Hairaan heon baba ke wo ashfaaq howe kya - jawab Aada ne hame qaid kiya shaam me lakar

Baba mere kyon mujhko nahi dhoondthe akar - jawab 7) Ye kehke Sakina pe jo rikhath howi taari

Bas haaye pidar kehke kayi baar pukari Tadpi jo zamee par tho zamee hil gayi saari

Jhinjhlake kaha shumr ne phir karthi hai zaari - jawab Ab khoob rulaeonga tujhe mai na dareonga

Reh tujhko aseereon se juda qaid karonga - jawab 8) Phir shumr ne bazooye Sakina ko jo pakda

Kunbe ki taraf osne ajab yaas se dekha Sab khaidiyon me ek khiyamath howi barpa

Sajjad ke khadmeon pe machal kar giri dukhiya - jawab Yon lipti thi bhayi se wo is khaofo khathar me

Ek haath tho gardan me tha ek hath kamar me - jawab 9) Meon dekhke Sajjad ka kehthi thi wo darkar

Ab aap mere roneke zamin heon barather Gartumse choti zeesth meri hoegi kyonkar

Ab roeon tho jo chahe kare shumre sithamgar - jawab Bhaiya mujhe tho shumrse is waqt bachale

Ab royon tho kardeejio zalim ke hawale - jawab 10) Ab royi so mai royi na ab roeongi zinhar

Ab roeon agar baap ko apne tho gunahgaar Farmao ke ab chod de mujhko ye jafakaar

(38)

Kistarah juda kunbe se howegi Sakina

Tum kehdo khasam khake na royegi Sakina - jawab 11) Ye kehthi thi kheencha jo sithamgar ne khazara

Kurtha tho phata tha wo phata aur bhi sara Tab Abide beemar ne rokar ye pukara

Ay shumr ye bin baap ki bachchi hai khudara - jawab Ghafil teri dehshath se na howegi Sakina

Ab aisi dari hai ke na royegi Sakina - jawab

NOHA

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Haaye hussain pyaase hussain - twice Haaye hussain pyaase hussain - high (JAWAB):

Haaye hussain pyaase hussain - twice Haaye hussain pyaase hussain - high Haaye hussain pyaase hussain - low

1) Damishk mai jo gareebeon ka khafela pahoncha Yazeede nahes ne darbar me bula bheja

Bahen se shaye ki shahadath ka waqeya poocha - twice Tarap ke binthe Ali ne yazeed se ye kaha

Zamee ki goad me Islam ka sitara hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) 2) Kaha yazeed se Zainab ne aye sitham ara

Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashora

Mere Hussain ko jangul me ghair kar mara - twice Ali ka kardiya barbad ghar ka ghar sara

Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) 3) Suhaag ojra kisi ka kisiki kook jali

Kisi ka jalraha daman rida kisi ki chini

Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi - twice Kisi ki aal hai zinda me ya Ali madadi

(39)

Shakhi ne sibthe payember ka sar othara hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) 4) Kidhar gaye mere abbaso khasimo Akbar

Wo mere aaono Mohammed wo mere noore nazar Mai tujhko doondho kahan bezaban Ali Asghar twice Bathao bibio roen mai aaj kiskis par

Jahan mai Zainab dilger besahara hai Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) 5) Ye ranjo gham sitamozoor aur jafa kabtak

Rasool zadiyan balwe me berida kabtak Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak - twice Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB)\

Pounchay qareebay shahray madina tou roo diyea Abid kaa dil dukhoun say bhar aayaa tou roo diyea Paawo main aablay thay chaly aur thhair gayea Rouza rasool kaa nazaer aayaa tou roo diyea Baitay zameen pay sar kou jukayea huvay imam Saayaa kiya kisi nay ridaa kaa tou roo diyea Abbas ki wafa kaa shujaath kaa zikr thaa

Baitay naa aakay baad kou pouchaa tou roo diyea Ummal baneen kou baitou kaa pursaa diyaa mager Sugra kou daysakay naa dilaasa tou roo diyea

Farmaatay thaytay shaheed huvay aaqraabaa tamam Basheer kou kisi nay joo pouchaa tou roo diyea Rudaday karbala ki sunaayaa kiyea imam

Jub zikr shahray shaam kaa aayaa tou roo diyea.

Dahleezay ilm-0-fazal say kar kay sawal mang Jis cheez ka hai duniya main milnaa muhaal mang Jannat na mang maang ziyarat Hussain ki Khairaat maagni hai to phir baymisaal maal Haqikatay rukhay yazdaa kaa roup paa tay chalo Khudi ka falsafa daarain kou seekaatay chalao Hussain naizay pa chard kar yea kehgaya shoukath Agar chay sur pay naa hou phir bhee sur uthakay chalo

(40)

Daal rakhaa hai maalayak nay musallah farsh pay Batrahaa hai bazmain aalam kaa tawalla farsh pay Hum Ali walo kou miljaata hai Allah farsh pay Ek moula aarah pay hai ek moula farsh pay Farsh walay aarsh pay jaatay nahi hai jhoomnay Aarsh walay farsh pay aatay hai iskou chumnay Teri sangnayee-0- ka dil na baydeedaar hogayea Na shahray khuld kissayea misaalay yaar hogayea Mawali chord kay karbal iram jaana hai chatay Mager jaatay hai jannat na teri baikaar hogayea ---=====---meri aamal ki sub kaapiya rahmaat wali hai mawaadat irtaka chaahat aadab barkaat wali hai khuda bhi mrstarak karta nahi mari naamaaz-o- kou naamazay kum saahi jitni bhee hai salwaat wali hai yea choudaa hi tou ilahi nizam zinda hai

inhhi kay naam say khaliq ka naam zinda hai manaa kay gashan batatay hai hum zamanay kou humhi woo loge hai jin kaa imaam zinda hai

maat souch kay hur ek noukar kou sultan samaj main aajayea mankin hi nahi hur khari kou Quran samaj main aajayea miqdaat abuzar khamber aur ammar bhi jeewan bhar shoukath masroof rahay is koushish main salman samaj main aajayea

Tashnagi Mashq-o-Alam Bali Sakina Abbas

Hai Teray Naam Say Mansoob Yea Charcha Abbas Sabr-o-Izzaare Wafa Joshay Alamdaar-e-Hussain Shair Jarrar Hama Waqt thay Ghamkhaar Hussain Tashnalab Hotay Huvay Suratay Dariyaa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Katgayea Haat Chidhi Mashq-e-Sakina Afsoos Tar Huva Khoo Say Alam Naher Pe Aqaa Afsoos Kyon na ho Noha Kuna Saniyea Zehra Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Raah Takti hai Sakina Dar-e-Qaime Pay khadi Tashnalab Bachi pay kaisi Hia yea Aafat ki Ghadi Khud kou Bahlaati hai De De kay Dilasaa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Gir Gayee Sar Say Rida Zainab-e-Muztaar ki Uthoo Lash uthti Nahi Shabbir Say Akber ki Uthoo

Aao Dedo Zara Sarwar Ko Sahara Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Hogaya Tukday Badan Ibne Hassan kaa Dekho Marhaala Aagaya Baazo main Rasan kaa Dekho Qaid Honay ko hai Shabbir ka Kunbaa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam……….

(41)

Martaa Bali Sakina kou Bhala Shirm-e-Layeen Tang Ho Jati Jo Tum Hotay Sitamgar pay Zameen Bhagne Ko Bhee na Miltaa Usay Rastaa Abbas. Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Agg Qaimo maain lagi Ahlay Haram Qaid Huvay Bekajawaa Suway Zindan Layee Laikay Chalay Saniyea Zehra nay Hasrat Say Pukaraa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Baat Khatoon-e- Qayaamat na Kabhi Taalaygi Hashr Ki Dhoop na Rehan pay Aanay Daige Sirf Halkaa Saa Karaygay joo Ishaara Abbas.

Tashnagi Mashq-o-Alam……….

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

Hum Aaazadaro pa farmaday Karam

As Salam Aay Dilbaray Ummul Bani

As Salam Aay Kaaba-e-Sabro yaqeen

Dar pa Teray laayea hai Fariyaad hum

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

Muztarib Sajdou kaa jaari hai Safar

Hai Tasawour main teray khadmo pa sar

Teri Choukat say na ub uthangay hum

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

Tu Tamanna-e-Ali Jaan-E-Ali

Tu Hussain Ibn-e-Ali ki Zindagi

Hum pa tutay hai zamany kay sitam

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

Haal mera tuj pa hai saara aaya

Aashk aakho say musalsal hai rava

Muj pay joo Guzri karu kaisay Raqam

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

(42)

Saaibaan Teray Alam kaa ho Aaata

Dil mein ho Bus Karbala walo kaa Gum

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

Sunlay ub Tutay Huvay dil ki Sada

Tuj kou Zainab ki Rida kaa waasta

Doour Hogayea yea Sub Ranj-o-Alam

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

Tuj say Kartaa hai Rasheed ub iltayjaa

Jald moula apnay rouzay par Bula

Rakhlay Aaqa apnay Shaiyer kaa bharam

Tashnalab Abbas Saqayea Haram,

_____________XXX_________________

Hai Mashwara aay mohtaram, Naaday Ali Partay Raho

Pas aa sakaygay na phir kohi Gum, Naaday Ali Partay Raho

Kashti Giri Jub Nuh ki, Qaasid nay yea aawaz di

Tufaan jaayeaga yea tham, Naaday Ali Partay Raho.

Jub Maarayka Khaybar kaa thaa, Ahmad say Khaliq Nay Kaha

Pouchay Hyder Ek dum, Naaday Ali Partay Raho.

Zikray Ali Ibadat Teri, Banjayea Ek Aaadath Teri

Phir Zindagi Na Parjayea Kam, Naaday Ali Partay Raho.

Turbat Say hum dartay nahi, Jaannat Talab kartay nahi

Partay huvay niklay yea dum, Naaday Ali Partay Raho.

Bintay Asad kay maaha ki, Zahid Najaf kay Shah ki

Midhat keeyea jaawo raqam, Naaday Ali Partay Raho.

Band pani kar diya aalay Payamber kay Liyea

Margaye Atfal-e-Hyder Ek saagar kay Liyea

Shah Khaytay thay Kohi Aulaad Wala Kiya Nahi

(43)

Thoda Saa Pani Joo Day Day Meray Asger Kay Leyea

Phir Nazar Ki sooway Naheray Alqama aur yea Kaha

Meray Gayraadaar kiya Khaytay hou Qaahar kay Leyea

Wo h Bharay Darbar main jub Daakila Hamsheer kaa

Kuch tou karnaa Intaayzaam us waqt Chadar kaay leya

Roo kay khati Thee yea Zainab Bay Riad hu Aaj main

Aay layeeno kuch tou dayna aasraa Sur kay leyea

Kiya Karu Bhai Mera Shaanay Kaatakay Soogaya

Warna main mohtaaj hoti Ek chaader kay leyea

Referensi

Dokumen terkait

Jika pendaftaran selesai kembali ke halaman beranda dan klik tombol Download pada Download Peta (AOI), maka akan muncul seperti gambar 1.0.2 dan masukan username dan password

Tasawuf adalah ilmu yang mempelajari usaha membersihkan diri ,berjuang memerangi hawa nafsu, mencari jalan kesucian dengan makrifat menuju keabadian,saling mengingatkan

kombinasi dari semangat besar dalam misi sosial dengan disiplin, innovasi, dan keteguhan seperti yang lazim berlaku di dunia bisnis. Kegiatan kewirausahaan sosial

Pada penelitian ini, akan melakukan penerapan metode certainty factor dengan forward chaining untuk kepastian dari penyakit tropis pada balita, mengacu pada beberapa

Sebagian besar santri yang menderita scabies menunjukkan hasil pengetahuannya kurang terhadap PHBS pondok pesantren yaitu 33 santri sedangkan hanya 1 santri yang

Data yang dicakup adalah hasil perhitungan APBD Provinsi yang telah dilaksanakan Pemda selama setahun yang lalu (Realisasi APBD Provinsi), sedangkan data APBD merupakan APBD

Secara umum, tujuan dari pengumpulan data SKD 2009 adalah menyediakan data mengenai: (1) kebutuhan konsumen akan data statistik beserta level dan periode data, (2)

Statistik Mobilitas Penduduk dan Tenaga Kerja, BPS Pusat PENANGGUNG JAWAB METODE PENGUMPULAN DATA PENANGGUNG JAWAB METODE PENGOLAHAN DATA PENANGGUNG JAWAB DISEMINASI DATA.